A VERY WARM WELCOME VISITORS

Friday, February 4, 2011

791. Jis ko maalik ki rehmat ka sahara mil gayaa...



Movie: SON OF HATIM TAI (1965)
Music: Bulo C. Rani
Lyrics: Prem Warbartani


Filmy Devotional Song of Rafi: Jis ko maalik kee rehmat kaa...
Roman Transliteration/English Translation of the original Urdu Lyrics (First time on internet):


jab bhee dohraayee gayee, tere karam kee, daastaa.n,
WHENEVER THE STORY OF YOUR FAVOURS WAS REPEATED,


jhuk gaye sajde me.n teraa, naam leke doh jahaa.n,
ALL THE WORLDS BOWED IN PROSTRATION, INVOKING YOUR NAME!


AAA~~AAA~~AAA~~


jis ko us maalik kee rehmat kaa, sahaaraa mil gayaa,
OF LORD’S MERCY, THE ONE WHO RECEIVED THE SUPPORT,


us ko manzil mil gayee,
HE FOUND HIS DESTINATION,


us ko kinaara mil gayee,
HE FOUND THE SHORE!


jis ko us maalik kee rehmat kaa….
OF LORD’S MERCY, THE ONE….


mard-e-momeen ne kahaa Allah-o-akbar jis gha.Dee,
THE MOMENT THE VALIANT BELIEVER UTTERED ALLAH IS GREAT,


bann gayee faulaad kee, zanjeer phoolo.n kee la.Dee,
THE STEEL-CHAIN TURNED INTO A STRING OF FLOWERS,


tuur par dekha thaah moosa ne, jise voh kaun thaah,
WHO WAS THE ONE WHOM MOSES SAW ON MOUNT SINAI?


voh kaun thaah,
WHO WAS THE ONE?


ruk gayaa toofaan…
THE STORM CEASED…


ruk gayaa, toofaan
THE STORM CEASED,


mauje.n, bann gayee.n Khud naa-Khuda,
THE WAVES BECAME HELMSMEN THEMSELVES,


Khud naa-Khuda,
HELMSMEN THEMSELVES,


Khud naa-Khudaa,
HELMSMEN THEMSELVES,


Nuuh ki kashtee ko jab us kaa ishaaraa mil gayaa,
WHEN NOAH’S ARK RECEIVED HIS SIGNAL!


us ko manzil mil gayee,
HE FOUND HIS DESTINATION,


us ko kinaara mil gayee,
HE FOUND THE SHORE!


jis ko us maalik kee rehmat kaa….
OF LORD’S MERCY, THE ONE….


AAA~~~AAA~~~AAA~~~


ay Khuda ke nek bande, hukm-e-qur’aanee naa bhool,
O VIRTUOUS DEVOTEE OF GOD! DON’T FORGET THE KORANIC ORDER,


hazrat ibraheem ke, bĂȘte kee qurbaanee naa bhool,
DON’T FORGET THE SACRIFICE OF ABRAHAM’S SON,


raah-e-haq me.n momeeno.n kaa, naam zinda ho gayaa,
IN THE PATH OF TRUTH, BELIEVERS’ NAME WAS REVIVED!


kufr jab, hadd se ba.Dhaa…
WHEN INFIDELITY CROSSED THE LIMITS…


kufr jab haddd se ba.Dhaa,
WHEN INFIDELITY CROSSED THE LIMITS


islaam zindaa, ho gayaa,
ISLAM WAS RESUSCITATED!


islaam zindaa, ho gayaa,
ISLAM WAS RESUSCITATED!


islaam zindaa, ho gayaa,
ISLAM WAS RESUSCITATED!


ho gayaa zindaa, jise, us kaa ishaaraa mil gayaa,
HE WHO RECEIVED HIS SIGN WAS RESUSCITATED!


us ko manzil mil gayee,
HE FOUND HIS DESTINATION,


us ko kinaara mil gayee,
HE FOUND THE SHORE!


jis ko us maalik kee rehmat kaa….
OF LORD’S MERCY, THE ONE….


sar-e-gumbad* hai.n masjide.n, teree muqaddas raaho.n me.n,
DOMED MASJIDS STAND IN YOUR HOLY PATHS


jagmagaataa hai teraa hee, naam har dargaah me.n,
‘TIS YOUR NAME ALONE THAT DAZZLES IN EVERY SHRINE,


tuu hai rabbul aalamee.n,
YOU ARE THE LORD OF THE WORLDS!


makke-madine kee qasam,
I SWEAR BY MECCA AND MEDINA,


tere dar par, ruk gaye hai.n…
COMING TO A HALT AT YOUR DOOR…


tere dar par, ruk gaye hai.n, har namaazee ke qadam,
COMING TO A HALT AT YOUR DOOR ARE THE STEPS OF EVERY DEVOUT,


har namaazee ko, tere, dar kaa, sahaaraa mil gayaa,
OF YOUR DOOR, EVERY DEVOUT HAS FOUND THE SUPPORT!


us ko manzil mil gayee,
HE FOUND HIS DESTINATION,


us ko kinaara mil gayee,
HE FOUND THE SHORE!


jis ko us maalik kee rehmat kaa….
OF LORD’S MERCY, THE ONE….


(*Note: I am not sure whether the word used is “sar-e-gumbad” or “sar-e-nau” or sar-e-noh-gumbad or some other word. Help needed!)


NASIR





No comments:

Post a Comment