A VERY WARM WELCOME VISITORS

Friday, March 11, 2011

826. Filmy Devotional Song of Rafi: Bhalaayee duniya ki jo subho shaam...

Movie: SHAN-E-HATIM (1958)
Music: A.R. Qureshi
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan

Filmy Devotional Song of Rafi: Bhalaayee duniya kee jo…

Roman Transliteration/
English Translation of the original Urdu Lyrics:

kisee ne Khwaab me.n haatim se ek din poochhaa,
SOMEONE ASKED HATIM IN A DREAM ONE DAY,

ay mard-e-naik zaraa, mujh ko bhee yeh raaz bataa,
O UPRIGHT MAN! KINDLY REVEAL THIS SECRET TO ME TOO,

Ahn~~

Khuda ke bando ko, miltaa hai kis taraah se Khuda,
HOW DO GOD’S DEVOTEES FIND GOD?

sunee yeh baat toh haatim ne, ha.ns ke us se kahaa,
WHEN HATIM HEARD THIS PLEA, HE TOLD HIM WITH A LAUGH,

Ahn~~

bhalaayee duniya kee jo, subh-o-shaam karte hai.n,
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE,

falak pe un ko farishte salaam karte hai.n,
THE ANGELS SALUTE THEM WITH A SALAAM IN HEAVEN!

(chorus:

bhalaayee duniya kee jo, subh-o-shaam karte hai.n…
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE!)

aaa~~~

Khuda kee raah me.n luTaate hai maal-o-zar apnaa,
IN THE WAY OF GOD, THEY SQUANDER THEIR PROPERTY AND MONEY,

voh apne ghar ko samajhte nahee.n hai ghar apnaa,
THEY DON’T CONSIDER THEIR HOME AS THEIR OWN,

aaa~~~~

zamee.n pe reh ke falak, par maqaam karte hai.n,
WHILE REMAINING ON EARTH, THEY ABIDE IN HEAVEN,

zamee.n pe reh ke falak, par maqaam karte hai.n,
WHILE REMAINING ON EARTH, THEY ABIDE IN HEAVEN,

falak pe un ko farishte salaam karte hai.n,
THE ANGELS SALUTE THEM WITH A SALAAM IN HEAVEN!

(chorus:
bhalaayee duniya kee jo, subh-o-shaam karte hai.n,
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE,

falak pe un ko farishte salaam karte hai.n,
THE ANGELS SALUTE THEM WITH A SALAAM IN HEAVEN!

bhalaayee duniya kee jo, subh-o-shaam karte hai.n…
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE!)

ahn~~~

unhe.n sukoo.n nahee.n miltaa, kabhee ameeree me.n~~,
THEY NEVER FIND PEACE IN OPULENCE,

ke baad-shaahee bhee karte hai.n voh faqeeree me.n,
FOR THEY RULE EVEN IN INDIGENCE,

ahn~~~

museebato.n me.n voh, umre tamaam karte hai.n,
THEY END THEIR LIVES IN AFFLICTIONS!

museebato.n me.n voh, umre tamaam karte hai.n,
THEY END THEIR LIVES IN AFFLICTIONS!

falak pe un ko farishte salaam karte hai.n,
THE ANGELS SALUTE THEM WITH A SALAAM IN HEAVEN!

(chorus:
bhalaayee duniya kee jo, subh-o-shaam karte hai.n,
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE,

falak pe un ko farishte salaam karte hai.n,
THE ANGELS SALUTE THEM WITH A SALAAM IN HEAVEN!

bhalaayee duniya kee jo subh-o-shaam karte hai.n.
THOSE WHO PRACTISE BENEFICENCE TOWARDS THE WORLD MORN AND EVE!)

NASIR

No comments:

Post a Comment