A VERY WARM WELCOME VISITORS

Sunday, July 20, 2008

133. Translation of Sad Songs of Rafi: KEH DOH KOI NA KARE YAHAAN PYAAR...


Movie: Goonj Uthi Shehnaai (1959)
Music Director: Vasant Desai
Lyricist: Bharat Vyas

Rafi Sahaab echoing Shakespearean idea that the course of true love never doth run smooth in KEH DOH KOI NA KARE YAHAAN PYAAR.....

Roman Transliteration/English Translation of the original lyrics:



Bikhar gaye bachpan ke sapne,
THE CHILDHOOD DREAMS HAVE SCATTERED AWAY,

Armaano.n ki shaam dhale,
ON DECLINE IS THE EVENING OF DESIRES,

Kahi.n saje baaraat kisi kee,
SOMEWHERE SOMEONE’S MARRIAGE PROCESSION IS ON,

Kahi.n kisi ka pyaar jaale....
SOMEWHERE SOMEONE’S LOVE IS ABLAZE.

keh doh koee na kare yahaa.n pyaar,
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE,

keh doh koee na kare yahaa.n pyaar,
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE,

is me.n Khushiyaa.n hai.n kam,
IN IT THERE’S LITTLE OF HAPPINESS,

beshumaar hai.n Gham,
COUNTLESS ARE THE SORROWS,

ek ha.nsee aur, aa.nsuu hazaar
A SINGLE LAUGHER, THOUSANDS OF TEARS.

keh doh, koee na, kare yahaa.n pyaar
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE....


preet pata.ngaa diye se kare,
THE MOTH LOVES THE LAMP,

preet pata.ngaa diye se kare,
THE MOTH LOVES THE LAMP,

us ki hee lau me.n vo jal-jal mare,
IN ITS VERY FLAME IT BURNS ITSELF TO DEATH,

mushkil raahe.n yahaa.n,
DIFFICULT ARE THE PATHS HERE,

ashq aur aahe.n yahaa.n,
TEARS AND SIGHS ABOUND HERE,

iss me.n chain nahi.n na qaraar,
IN IT THERE’S NEITHER PEACE NOR REST.

keh doh koee na, kare yahaa.n pyaar
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE


ham ne toh samjhaa thaa phool khile
WE THOUGHT THAT FLOWERS HAD BLOSSOMED

ham ne toh samjhaa thaa phool khile
WE THOUGHT THAT FLOWERS HAD BLOSSOMED

chun-chun ke dekhaa toh kaa.nTe mile
ON PICKING THEM WE FOUND THEM TO BE THORNS,

ye anokhaa jahaa.n,
‘TIS A PECULIAR WORLD,

har damm dhokaah yahaa.n,
EVERY INSTANT THERE’S DECEIT HERE,

iss veeraane me.n, kaisi bahaar,
IN THIS WASTELAND CAN THERE BE A SPRINGTIME?


keh doh koee na kare yahaa.n pyaar,
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE,

is me.n Khushiyaa.n hai.n kam,
IN IT THERE’S LITTLE OF HAPPINESS,

beshumaar hai.n Gham,
COUNTLESS ARE THE SORROWS,

ek ha.nsee aur, aa.nsuu hazaar
A SINGLE LAUGHER, THOUSANDS OF TEARS.

keh doh, koee na, kare yahaa.n pyaar
ANNOUNCE THAT NO ONE SHOULD LOVE HERE....


NASIR

1 comment: